Sunday, October 5, 2014

Galatfahmian

"Koi parinda manzil tak naa pahunche, jo pahunche to use raah bhatkatin...
Alfaz to nikalte sahi, par paunche to mayene kuch aur he kar, seena chhalni  kar jaatin...
Har taraf chhod maayusi, dilo ke darmiyan zeher ghol aatin...
Kabhi laut kar wapas na aye wo kimti waqt, jo tha to abhi bhi bahut, par chura kar zaya kar jaatin...
Zeena muskil kia karti thi tab, uff aaj bhi vohi kucch pal jo mile, fanah kar jaatin...
Tanha chhod, sabki muskane chhin, zamine gili kar jaatin...
ye  kambakht galatfehmian!"


- raw rasin

Monday, February 3, 2014

Trisanku

"kya kahun tinke se, adhar mein latka ek
tuta hua tara hun, sahara na de?

kya kahun deepak se,
jala hua patanga hun, roshni na dikha?

kya kahun patti se, ons ka moti nahin,
palko ka paani hun, yun na sambhal?

par kahun kaise is sukhe hue halk se boond ko,
registaan mein bhatakta hua pyasaa hun!

alam ye hai reysin, nafrat karene walo se hamse
nafrat nahin ki jaati aur muhabbat karne walo se
hame ab dar lagta hai..."

- 'raw rasin'

Sunday, January 19, 2014

Jhuthi dastak

"rah rah ke hoti rahi kasmaksh...
ya ghabrahat shaayad.
takdeer de rahi dastak makhol bana kar.
aaj thokar mar di us jannati kale pani ko.
khone ka zara bhi gam nahin balki
ek sukun sa hai garmahat ka apno ki.
aur is beech, door kisi kone se
tukur tukur jhankti hai koi ruhaniat
bachkani si. par na Jane kyon dar hai,
bhikhar na jae ye ret ka gharonda kahin"

-'raw rasin'